Arz Kiya Hai

A few days ago, i started writing sher(if these can be called so) and here is a collection of 10 of them which i have written in the meanwhile… This is my first attempt at this form of art, so cant say anything about the quality of them, hope you find them good….My attempt will not satisfy all the conditions of she, if there are any , but i get the feeling of them being sher.

1) Unki yaad mein humne rat bhar ki chand se bat
Wo to na aye unki yaadon ke sahare rehne ki ho gayi aadat

2) Aaftab sa tej unke chehre mein, bit chandni si komalta unke ehsaas mein
Jheel si gehrai unki aankhon mein, Raat sa andhera unki zulfon ke saye mein
Mere mehboob ka to kehna hi kya
Khuda bhi soche hairan hoke khoobsurati kaise aayi insan ki kaya mein

3) Hawa ki sarsarahat unka ehsaas layi
Barish ki cham cham unke paadep ki chanak layi
Us Dilruba ki yaad mein humne raatein tanhayi meni katein
Uske aane ke intezaar mein humne uski tasveer se hi baat chalayi

4) Humare gam mein unhone ashkon ki nadiyan bahain
Hum aise bhi bewafa na the
Ki jab bhi humari yaad ayi unhone apni kashti hi dubayi

5) Vo pardanasheen humnasheen se ban gayi dilnasheen
Unki aankhon ki gehrai humein dubati le jaye
Is ishq ki to dastaan hi kuch aisi hai.
Takthon-tajon ne iske aage sar jhukaya hum to akhirkar insan hi hain

6) Us pal ke intezaar mein palke bichaye baithe hain
Unke deedar ki aas lagaye baithe hain
Wo kya kayamat-e-din hoga
Jis din vo khwabon se nikalkar humari aankhon ke saamne ayengi

7) Aap ne humein sar aankhon par chadhaya aapki meharbani
Is nacheez ko tareef ke kabil samjha humari khush kismati
Ye to sab unki mohabbat ka asar hai
Is jeete jagte insaan ko shayar bana diya

(This was written as a reply to status messages of all my friends which showed things like “Himank the new shayar on the block” and other things)

8 ) Gham-e-Ulfat mein humne khudai se bhi ki dushmani
Sara jahaan ek taraf unki yaadon ki gehrai hi nazar aayi
Unki sohbat ke intezaar mein humne apni hasti hi mitayi
Jis Din vo saamne ayi kayamat bhi sharmai

9) Is haseen ehsaas ke liye alfaz bahut hain
Zindagi ki gaadi ka ek pahiya hai ye
Is nacheez ki kya aukat ki Dosti ke bare mein kuch bolo
Ye to hai vo paak jazba jiske aage mohabbat bhi sar jhukaye

10) Uska ek ashq duba de mujhe gamon ki gehrai mein
Uski ek muskan mita de mere saare gamon ko
Zindagi se bhi pyari hai vo zindagi ki dor meri
Uske bina to ab meri zindagi ki ummeed bhi nahin hai

(Dedicated to my sister..)

Song of the Day :- Bad Day by Daniel Powter

PS1:- Had Summer Prject presentation today.. went off fine.. no probs.. šŸ™‚
PS2:- Its amazing how the emotions of ur near ones can affect you so much
PS3:- Sachin and Ganguly are playing so boring cricket, specially Sachin, his strike rate is measley 31.73…33 from 104 balls… šŸ˜¦ Comeon Sachin..
PS4:- Woodstock in India… Rockinggg…..
PS5:- Ganguly out.. given lbw even when there was an inside edge.. Umpires in this series have gone nuts
PS6:- Finally i got to 1k comments 1007 before this post… Lets see ye safar kahan tak chalta hai..

technorati tags:,

16 thoughts on “Arz Kiya Hai

  1. Shayari i feel is something which enlightens ur mood and such kind of stuff will definetely uplift the moods of anybody though i could not understand a few words i feel 3,5, and 10 are really good…….

    ps a oneliner for u shayar main badnaaaaaaam nahi main hu shayar gumnaam šŸ˜› šŸ˜€

  2. Main kya kahun —–

    “Wah-Wah , subhaanallah miyan” šŸ˜› šŸ˜€

    Ab unka naam to bata deejiye (Reference to 7th sher)

    and what is this ” Ghame – E – Ulfat ” šŸ˜® ??

    PS: Woodstock in India šŸ˜® šŸ™‚ ……. cool man.

  3. shayar sahab ke bare mein hum kya farmayen…
    ye to vo nzzcheez hain jo farmate farmate khud hi apni waah!! waaah!! karte jayen….

    thanx … aapke pagchinh par chalte chalte hum bhi kuch sikh hi gaye…..

  4. tu shayar to naaaahi …..
    magar kaun hai woh haasin ….
    usko dekha Tune …..
    to tujhko …..
    SHAYARIIII aaaaa gaaayi …..

  5. Waah Waah shayar saab!
    Keep up the talent dude.. some of them were good, like the one dedicated 2 ur sis.. šŸ™‚
    Hmm.. dunno how far the woodstock news is true.

  6. Bahut khoob ….. subhaanallah !!!
    Himank-e-Ghalib ka kya kehna …. ab to bas inka moo khulte hi charo aur Waah-Waah !!! hone lagte hai ….
    Keep it up yaar …

  7. Chal mera bhi ek sher lele …

    Arz kiya hai …

    Shenhansha-e-shaayari Himank saab
    inki shaayari mein nazar aate hain dard aur talaash ki pyaas
    inki kaya ko DESCRIBE karne ke liye
    hamaare paas nahi koi alfaaz !!!

    abe DESCRIBE ko urdu meni kya bolte hain šŸ˜›

  8. waah waah — subhanallah …. miyaan tum to chha gaye šŸ˜›
    u really rock man ….. whr had u hidden ur talent so far in shayri writing …. waise ab to bata de woh kaun hai jiske liye yeh shero-shayri ho rahi hai aaj kal…..i’m dying 2 know whos that

  9. @ Bhanu: Koi nahin you will get to understand them..

    @ Manish : Yaar naam hota to batata nahin kya.. Gham-e-Ulfat is Mohabbat men gam…

    @ Prashant: Koi nahin shishya bahut aage jaoge..

    @ Harsh : Shukriya.. shukriya

    @ Abbulu : Thanx da…

    @ Maruti: Hope it is true… šŸ˜€

    @ Karan: Thanx da… Again hope for the best

    @Prateek : Shukriya Huzoore Ala…

    @ Namrata: Thanx šŸ˜›

    @ Chirag : šŸ˜›

    @Srirang : Yaar mujhe bhi nahin yaad aa raha but you can use “* ki tareef mein”

    @ Vipul : Sale koi nahin hai… U too knw that…

    @ mythalez : Thanx .. šŸ™‚

Leave a comment